--
_._,___Aaj ke is insaan ko ye kyaa ho gayaa,
iskaa puraanaa pyaar kahaan par kho gayaa,
Das diyaa saare desh ko zehreele naagon ne,
ghar ko lagaa dee aag ghar ke chiraagon ne,
Apnaa desh wo desh thhaa bhaai, laakhon baar musibat aayee,
Insaanon ne jaan ganwaayee par bahanon ki laaj bachaayee,
Lekin ab wo baat kahaan hai, ab to kewal ghaat yahaan hai,
Chal rahee hai ultee hawaayen, kaanp rahee thhar thhar ablaayen,
Aaj har ek aanchal ko hai khatraa, aaj har ghunghat ko hai khatraa, Khatre mei hai laaj bahan kee, khatre mei hai chudiyaan dulhan kee,
Dartee hai har paanw ki paayal, aaj kaheen ho naa jaaye ghaayal,
Aaj salaamat naa koi ghar hai, sab ko lut jaane kaa dar hai,
Humne apne watan ko dekhaa, aadmi ke patan ko dekhaa,
Aaj to bahanon par bhee humlaa hotaa hai,
duur kisi kone mei majhab rotaa hai,
Kiske sar ilzaam dharen hum, aaj kahaan fariyaad karen hum?
Karte hai jo aaj ladaai, sub ke sub hain apne hee bhaai,
Sub ke sub yahaan apraadhi, haay mohabbat sub ne bhulaa dee,
Aaj bahee jo khoon ki dhaaraa, doshi uskaa samaaj hai saaraa,
Suno zara o sunne waalon, aasmaan par nazar ghumaa lo,
Ek gagan mei karoron taare, rahte hain hil mil kar saare,
Kabhi naa wo aapas mei ladte, kabhi naa dekhaa unko jhagadte,
Kabhi nahin wo chhure chalaate, kabhi nahin kisi kaa khoon bahaate,
Lekin is insaan ko dekho, dharti ki santaan ko dekho,
Kitnaa hai ye haay kameenaa, is ne laakhon kaa sukh chheenaa,
Kee hai isne aaj jo tabaahee, denge uskee ye mulk gawaahee,
Aapas kee ye dushmani kaa ye anjaam huaa,
duniyaa hansne lagi desh badnaam huaa,
Kaisaa ye khatre kaa fazal hai, aaj hawaaon mei bhee zahar hai,
Kahin bhee dekho baat yahee hai, haay bhayaanak raat yahee hai,
Maut ke saaye hain ghar ghar mei, kab kya hogaa kise khabar hai,Bund hain khidki, bund hain dwaare, baithe hain sab darr ke mare,
Kyaa hogaa in bechaaron kaa, kyaa hogaa in laachaaron kaa,
Inkaa sub kuch kho saktaa hai, in par humlaa ho saktaa hai,
Koi rakshak nazar aataa naheen, khoyaa hai aakaash mei daataa,
Ye kyaa haal huaa apne sansaar kaa,
nikal rahaa hai aaj zanaazaa pyaar kaa
__._,_._kiSi KO PaNE Ki TaMaNA MAT kROBALKY KHud Ko Is KAbil BNAO k KOITMY PanY Ki TAMANa KrY
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Deep NooN" group.
To post to this group, send email to deep-noon@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to deep-noon+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/deep-noon?hl=en.
--
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Vu and Company" group.
To post to this group, send email to vu-and-company@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to vu-and-company+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/vu-and-company?hl=en.
Comments
Post a Comment