main yeh kis ky naam likhon jo alam guzar gay
mery shahr jal rahy hain mery loog mar rahy hain
koi guncha ho keh gul ho, koi shakh ho kleh shajar ho
wo hway gulstaan hy keh sabhi bikhar rahy hain
kabhi rehmatain thain nazal is khitta e zamin par
wahi khitta e zamin hy keh azaab utar rahy hain
wahi tairoon ky jhurmat jo hwa main jholty thy
wo faza ko dekhty hain to ab ahh bhar rahy hain
bari aarzo thi hum ko nay khawab dekhny ki
so ab apni zindgi main nay khawab bhar rahy hain
koi aur to nahi hy pas e khanjar azmai
humain katal ho rahy hain, humain katal kar rahy hain
----
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
Comments
Post a Comment