" Badal De Dil Ki Duniya
Dil Badal De "
Badal De Dil ki Duniya Dil Badal De
Mera Ghaflat Mein Dooba Dil Badal De
Hawa-O-Hirs Wala Dil Badal De
Mera Ghaflat Mein Dooba Dil Badal De
Badal De Dil ki Duniya Dil Badal De Khudaya Fazl Farmaa Dil Badal De
Gunahgari Me Kab Tak Umr Kaatoun
Badal De Mera Rasta Dil Badal De
Sunoun Mein Naam Tera Dharkanoun Mein
Mazaa Aajaye Moula Dil Badal De
Hataloun Aankh Apni Maa-siwa Se
Jiyoun Mein Teri Khatir Dil Badal De
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu Apna Ghum Aata Kar Dil Badal De
Sehal Farmaa Musalsal Yaad Apni
Khudaya Reham Farmaa Dil Badal De
Padi Hoon Tere Dar Par Dil Shikasta
Rahoun Kyun Dil Shikasta Dil Badal De
Teri Hojaoun itni Aarzoo Hai
Bas itni Hai Tamanna Dil Badal De
Meri Faryaad Sunle Mere Moula
Banale Apni Bandi Dil Badal De
Dil-E-Maghmoom Ko Masroor Karde
Dil-E-Benoor Ko Purnoor Karde
Faroza Dil Mein Sham-E-Toor Karde
Ye Gosha Noor Se Ma'moor Karde
Mera Zahir Sanwar Jaaye Ilaahi
Mere Batin Ki Zulmat Dur Karde
Hai Meri Ghaat Mein Khud Nafs Mera
Khudaya isko De Maqdoor Karde
AMEEN SUMMAMEEN YA RABBUL ALAMEEN
--
--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Virtual University of Pakistan 2009" group.
To post to this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to virtual-university-of-pakistan-2009+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/virtual-university-of-pakistan-2009?hl=en.
Comments
Post a Comment